Wednesday, April 8, 2009

Bhrashtachar Rajniti

Aaj ki duniya mein Bhrashtachar aur rajniti ke naam par bikta neta jiski party aur uske sadsy aaj ke waqt mein har koi neta banna chahta hai chunav aye nahi ki neta chal parte hai katora utha kar ghar ghar vote mangne aur jhute wade karne ghumte rahte hai garib janta ko paise dekar apne liye nare bazi karwate hai aur note dhikha kar vote mangte hai aur khana aur sharab free mein bate ghumte hai yeh dikhawa sirf chunav tak hota hai agar yahi janta neta chune jane ke baad inse madad mange jaye toh pehchan ne se bhi inqar kar dete hai yeh intne gire huye log hot hai garibo ko ganda aur bikhari samjhte hai par waqt ane par unhi bikhariyo ke per dho kar pee bhi kar lete hai age piche garibono ko ganda kehete hai unhise vote bhi mangte hai aur unhi se phoolo ki mala bhi pehnte hai bewkuf janta hath bhi jodti hai aur mala bhi deti hai ehsaan faramosh netao ko fansi chada dena chahiye chunav ko inho ne vyapar bana rakha hai shiksha vibhag ho ya grah mantri agar kisi ladki ke sath jaye toh kam asan ho jata hai aur ladki na jay toh saaf inqar kar dete hai kam karne se in kale karnamo mein inki patniya bhi sath deti hai. Samaj seva in ka time pass hota hai yeh bhi ek tarha ki netagiri hoti hai 5-6 ka group apne jese chamche chamchiya sath rakhkar apne ko samaj sevika banti hai magar fashion parade mein aur ghamand mein yahi miss india bangi yahi samjhti hai. Aaj neta wahi hai jo chor bazaari kare joh bade bade don ke sath mil kar jail ja chuke ho khoon aur baltkar bank robbery ya boht bade golmaal kiya ho aaj ke waqt mein koi aaj ke waqt mein koi keh de ki yeh is desh ka acha sach neta hai aaj ke waqt mein ek sacha insan aur langoti aur uska nam aur uski izaat ke liye marta hai woh jhuthi izaat ka jalus nahi nikalta hai. Ek do neta koi ache kam karenge baki sab haraam karegeneta is tarha chunna chahiye janta ko jo aap kal sudhare bigade na aab toh ankhe kholo Bhagat Singh aur Chander Shekhar azaad ki dharti ke rakhwalo aab dharti ko kale nakab posh netaon ko chun kar dharti ko kalankit mat karo aaj ke neta ka nara hai naam bade darshan chote aur janta neta ke liye nara gati he toba tera jalwa tera atyachaar.

Madhvi

1 comment:

  1. it kind of made me smile..especially the end lines. nevertheless, well written.

    ReplyDelete